bhari duniya mein aaKHir dil ko samjhane kahan jaen
bhari duniya mein aaKHir dil ko samjhane kahan jaen
Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
bharī duniyā meñ āḳhir dil ko samjhāne kahāñ jaa.eñ
mohabbat ho ga.ī jin ko vo dīvāne kahāñ jaa.eñ
lage haiñ sham.a par pahre zamāne kī nigāhoñ ke
jinheñ jalne kī hasrat hai vo parvāne kahāñ jaa.eñ
sunānā bhī jinheñ mushkil chhupānā bhī jinheñ mushkil
zarā tū hī batā ai dil vo afsāne kahāñ jaa.eñ
nazar meñ uljhaneñ dil meñ hai aalam be-qarārī kā
samajh meñ kuchh nahīñ aatā sukūñ paane kahāñ jaa.eñ
bhari duniya mein aaKHir dil ko samjhane kahan jaen
mohabbat ho gai jin ko wo diwane kahan jaen
lage hain shama par pahre zamane ki nigahon ke
jinhen jalne ki hasrat hai wo parwane kahan jaen
sunana bhi jinhen mushkil chhupana bhi jinhen mushkil
zara tu hi bata ai dil wo afsane kahan jaen
nazar mein uljhanen dil mein hai aalam be-qarari ka
samajh mein kuchh nahin aata sukun pane kahan jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.