bhari hai tair ke unchi uDan pani mein
bharī hai tair ke ūñchī uḌaan paanī meñ
go machhliyoñ kā ho ik āsmān paanī meñ
utar rahī hai tire tan se jhiil meñ bijlī
nikal na jaa.e kahīñ merī jaan paanī meñ
tamāshbīn thī jantā tamāshbīn rahī
nagar ke Duub ga.e sab makān paanī meñ
jamī huī hai ye naddī pighal bhī jaane do
utar ke aao kabhī merī jaan paanī meñ
maiñ jal-parī huuñ sitāroñ se mujh ko kyā matlab
mirī zamīn mirā āsmān paanī meñ
yaqīn jhūTī gavāhī kā kar liyā sab ne
bilakte rah ga.e ḳhuuñ ke nishān paanī meñ
bhari hai tair ke unchi uDan pani mein
go machhliyon ka ho ek aasman pani mein
utar rahi hai tere tan se jhil mein bijli
nikal na jae kahin meri jaan pani mein
tamashbin thi janta tamashbin rahi
nagar ke Dub gae sab makan pani mein
jami hui hai ye naddi pighal bhi jaane do
utar ke aao kabhi meri jaan pani mein
main jal-pari hun sitaron se mujh ko kya matlab
meri zamin mera aasman pani mein
yaqin jhuTi gawahi ka kar liya sab ne
bilakte rah gae KHun ke nishan pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.