bharī mahfil meñ gañvāne ke liye kuchh bhī nahīñ
ab mire paas zamāne ke liye kuchh bhī nahīñ
ek chehra hai jahāñ dard kī do āñkheñ haiñ
dil nahīñ aur dikhāne ke liye kuchh bhī nahīñ
merā kirdār kahānī meñ bhī mar jā.egā
rā.egāñ hai jo fasāne ke liye kuchh bhī nahīñ
raat ḳhāmoshī liye yuuñ to chalī aa.ī hai
aaj par mujh ko Darāne ke liye kuchh bhī nahīñ
bhari mahfil mein ganwane ke liye kuchh bhi nahin
ab mere pas zamane ke liye kuchh bhi nahin
ek chehra hai jahan dard ki do aankhen hain
dil nahin aur dikhane ke liye kuchh bhi nahin
mera kirdar kahani mein bhi mar jaega
raegan hai jo fasane ke liye kuchh bhi nahin
raat KHamoshi liye yun to chali aai hai
aaj par mujh ko Darane ke liye kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.