bhari mahfil mein ruswa kyon karen hum
bharī mahfil meñ rusvā kyoñ kareñ ham
tirī āñkhoñ ko dariyā kyoñ kareñ ham
zarūrī aur bhī haiñ mas.ale to
mohabbat hī kā charchā kyoñ kareñ ham
gile suljhā.eñge donoñ hī mil kar
bhalā sab ko ikaTThā kyoñ kareñ ham
siyāsat toḌ denā chāhtī hai
magar bhaa.ī se uljhā kyoñ kareñ ham
hamāre dil meñ hī rāvan hai yāroñ
zamāne bhar ko kosā kyoñ kareñ ham
tumhārī dostī kaafī nahīñ kyā
kisī dushman ko zinda kyoñ kareñ ham
nahīñ milte yahāñ insān 'parimal'
tirī duniyā meñ Thahrā kyoñ kareñ ham
bhari mahfil mein ruswa kyon karen hum
teri aankhon ko dariya kyon karen hum
zaruri aur bhi hain masale to
mohabbat hi ka charcha kyon karen hum
gile suljhaenge donon hi mil kar
bhala sab ko ikaTTha kyon karen hum
siyasat toD dena chahti hai
magar bhai se uljha kyon karen hum
hamare dil mein hi rawan hai yaron
zamane bhar ko kosa kyon karen hum
tumhaari dosti kafi nahin kya
kisi dushman ko zinda kyon karen hum
nahin milte yahan insan 'parimal'
teri duniya mein Thahra kyon karen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.