bhari mahfil mein tanha dekhna hai
bharī mahfil meñ tanhā dekhnā hai
use is baar itnā dekhnā hai
tirī duniyā se ab jaanā paḌegā
ḳhudā vaalī bhī duniyā dekhnā hai
adākāroñ ke naḳhre log uThā.eñ
hameñ to bas tamāsha dekhnā hai
mirī pahlī nazar lauTā de mujh ko
tirī jānib dubāra dekhnā hai
nayā kyā hai makāñ se lā-makāñ tak
vahī ḳhud ko dikhānā dekhnā hai
mirī dilchaspiyāñ parvāz meñ haiñ
use piñjre meñ chiḌiyā dekhnā hai
kahāñ par kyoñ bhaTak jaatā huuñ āḳhir
tire kūche kā naqsha dekhnā hai
nahīñ milnā hai kuchh nazreñ uThā kar
hameñ to sirf rasta dekhnā hai
bhari mahfil mein tanha dekhna hai
use is bar itna dekhna hai
teri duniya se ab jaana paDega
KHuda wali bhi duniya dekhna hai
adakaron ke naKHre log uThaen
hamein to bas tamasha dekhna hai
meri pahli nazar lauTa de mujh ko
teri jaanib dubara dekhna hai
naya kya hai makan se la-makan tak
wahi KHud ko dikhana dekhna hai
meri dilchaspiyan parwaz mein hain
use pinjre mein chiDiya dekhna hai
kahan par kyon bhaTak jata hun aaKHir
tere kuche ka naqsha dekhna hai
nahin milna hai kuchh nazren uTha kar
hamein to sirf rasta dekhna hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 60)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.