bharosa un ke wade par na ai dil ek zara karna
bharosa un ke wade par na ai dil ek zara karna
Riyaz Hasan Khan Khayal
MORE BYRiyaz Hasan Khan Khayal
bharosa un ke va.ade par na ai dil ik zarā karnā
ki va.ada sahl hai mushkil hai va.ade kā vafā karnā
jo tum shikvoñ se Darte ho mujhī par ab jafā karnā
raqīboñ kī tarah mujh ko nahīñ aatā gila karnā
chaḌhī hai tevrī abrū pe bal hai haath meñ ḳhanjar
ye kyā naqsha hai kyā sāmān hai hai aaj kyā karnā
uThāo sar idhar dekho mileñ āñkheñ na sharmāo
ye ḳhalvat hai yahāñ kyā sharm mahfil meñ hayā karnā
tumheñ āsān hai begāna honā āshnā ho kar
hameñ dushvār hai nā-āshnā kā āshnā karnā
kahā jab sham.a-rū vo bole achchhī qadrdānī kī
hamārā kaam hai kyā rote rahnā yā jilā karnā
butoñ kī bandagī har-vaqt mujh par farz ai zāhid
tujhe kul pāñch vaqtoñ meñ namāzoñ kā adā karnā
nadāmat ranjish-e-be-vaj.h kī dekhī nahīñ jaatī
ab iqrār-e-ḳhatā karnā hai un se aur kyā karnā
hasīnoñ ko jahāñ zid aa.ī phir mushkil se milte haiñ
samajh kar ai dil-e-betāb arz-e-mudda.ā karnā
vo kahte haiñ vafā kī iltijā bhī bevafā.ī hai
savāl-e-rahm karnā bhī hai dar-parda gila karnā
hai apnā imtihāñ lenā unheñ aa.e jo turbat par
ḳhirām-e-nāz se maqsūd hai mahshar bapā karnā
abhī hai duur kī sāhab-salāmat guftugū kaisī
kuchh āsāñ hai kisī nā-āshnā kā āshnā karnā
raqīboñ kā liyā jab imtihāñ mujh se ye farmāyā
vafādār ek tū hai ḳhatm hai tujh par vafā karnā
ulajh paḌte haiñ aahoñ par bigaḌ jaate haiñ shevan par
vo kahte haiñ ye shor-e-hashr mahshar meñ bapā karnā
hue jaame se bāhar to nigāh-e-shauq khul khelī
mujhe ab farz Thahrā chheḌ kar tum ko ḳhafā karnā
kahā hai jis tarah maiñ ne qasam hai tujh ko ai qāsid
payām-e-shauq ko mere yūñhīñ jā kar adā karnā
sifārish jab kare koī to mere naam se nafrat
shikāyat kā jo daftar ho use pahroñ sunā karnā
'ḳhayāl' itnī shikāyat kyā butoñ kī be-niyāzī kī
rahā īmāñ salāmat chāhiye shukr-e-ḳhudā karnā
bharosa un ke wade par na ai dil ek zara karna
ki wada sahl hai mushkil hai wade ka wafa karna
jo tum shikwon se Darte ho mujhi par ab jafa karna
raqibon ki tarah mujh ko nahin aata gila karna
chaDhi hai tewri abru pe bal hai hath mein KHanjar
ye kya naqsha hai kya saman hai hai aaj kya karna
uThao sar idhar dekho milen aankhen na sharmao
ye KHalwat hai yahan kya sharm mahfil mein haya karna
tumhein aasan hai begana hona aashna ho kar
hamein dushwar hai na-ashna ka aashna karna
kaha jab shama-ru wo bole achchhi qadrdani ki
hamara kaam hai kya rote rahna ya jila karna
buton ki bandagi har-waqt mujh par farz ai zahid
tujhe kul panch waqton mein namazon ka ada karna
nadamat ranjish-e-be-wajh ki dekhi nahin jati
ab iqrar-e-KHata karna hai un se aur kya karna
hasinon ko jahan zid aai phir mushkil se milte hain
samajh kar ai dil-e-betab arz-e-muddaa karna
wo kahte hain wafa ki iltija bhi bewafai hai
sawal-e-rahm karna bhi hai dar-parda gila karna
hai apna imtihan lena unhen aae jo turbat par
KHiram-e-naz se maqsud hai mahshar bapa karna
abhi hai dur ki sahab-salamat guftugu kaisi
kuchh aasan hai kisi na-ashna ka aashna karna
raqibon ka liya jab imtihan mujh se ye farmaya
wafadar ek tu hai KHatm hai tujh par wafa karna
ulajh paDte hain aahon par bigaD jate hain shewan par
wo kahte hain ye shor-e-hashr mahshar mein bapa karna
hue jame se bahar to nigah-e-shauq khul kheli
mujhe ab farz Thahra chheD kar tum ko KHafa karna
kaha hai jis tarah main ne qasam hai tujh ko ai qasid
payam-e-shauq ko mere yunhin ja kar ada karna
sifarish jab kare koi to mere nam se nafrat
shikayat ka jo daftar ho use pahron suna karna
'KHayal' itni shikayat kya buton ki be-niyazi ki
raha iman salamat chahiye shukr-e-KHuda karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.