bharpur mohabbat ka elan mukammal hai
bharpūr mohabbat kā elaan mukammal hai
us nīm-nigāhī kā farmān mukammal hai
yā dushman-e-jāñ mujh par sach-much hai karam-farmā
yā merī tabāhī kā sāmān mukammal hai
kis chaav se ik bastī jo ham ne basā.ī thī
dekhā thā vahī bastī vīrān mukammal hai
zaḳhmoñ pe mire tū ne jis tarah namak chhiḌkā
is niim ināyat kā ehsān mukammal hai
har moḌ pe miltā hai allāh kā vo banda
qālib meñ jo insāñ ke shaitān mukammal hai
ai 'sāz' mire dil meñ ab jaan nahīñ baaqī
go ḳhuun kā rag rag meñ daurān mukammal hai
bharpur mohabbat ka elan mukammal hai
us nim-nigahi ka farman mukammal hai
ya dushman-e-jaan mujh par sach-much hai karam-farma
ya meri tabahi ka saman mukammal hai
kis chaw se ek basti jo hum ne basai thi
dekha tha wahi basti viran mukammal hai
zaKHmon pe mere tu ne jis tarah namak chhiDka
is nim inayat ka ehsan mukammal hai
har moD pe milta hai allah ka wo banda
qalib mein jo insan ke shaitan mukammal hai
ai 'saz' mere dil mein ab jaan nahin baqi
go KHun ka rag rag mein dauran mukammal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.