bhaTak na jae KHudaya nazar kitabon mein
bhaTak na jaa.e ḳhudāyā nazar kitāboñ meñ
guzarte haiñ mire shām-o-sahar kitāboñ meñ
jahān bhar meñ haiñ jāzib hazār-hā chīzeñ
magar nazar ne banāyā hai ghar kitāboñ meñ
hazār haif hamīñ bahara-yāb ho na sake
kahāñ kahāñ kā thā ilm-o-hunar kitāboñ meñ
vo ilm-e-zāt ki jis kī hameñ ḳhabar na huī
vo ilm-e-zāt bhī thā jalva-gar kitāboñ meñ
hamāre qaul-o-amal par huā na koī asar
ulajh ke rah ga.ī apnī nazar kitāboñ meñ
jahāñ bhī sang-e-havādis kī ho ga.ī bārish
chhupā liyā hai vahīñ apnā sar kitāboñ meñ
mutāla kī numā.ish hī jin kā maqsad thā
milā na kuchh bhī unheñ umr bhar kitāboñ meñ
talāsh jin kī har ik ilm-dāñ ko rahtī hai
vo durr-e-ilm bhī haiñ mo'atabar kitāboñ meñ
yahīñ huiiñ mirī hastī kī ibtidā-e-safar
ho ḳhūb-tar jo ho ḳhatm-e-safar kitāboñ meñ
zamāne bhar kī ḳhabar mil ga.ī kitāboñ se
milī na apnī zarā bhī ḳhabar kitāboñ meñ
huī hai jis se mirī fikr-e-gauharīñ 'maġhmūm
mujhe milī hai vo tāb-e-guhar kitāboñ meñ
bhaTak na jae KHudaya nazar kitabon mein
guzarte hain mere sham-o-sahar kitabon mein
jahan bhar mein hain jazib hazar-ha chizen
magar nazar ne banaya hai ghar kitabon mein
hazar haif hamin bahara-yab ho na sake
kahan kahan ka tha ilm-o-hunar kitabon mein
wo ilm-e-zat ki jis ki hamein KHabar na hui
wo ilm-e-zat bhi tha jalwa-gar kitabon mein
hamare qaul-o-amal par hua na koi asar
ulajh ke rah gai apni nazar kitabon mein
jahan bhi sang-e-hawadis ki ho gai barish
chhupa liya hai wahin apna sar kitabon mein
mutala ki numaish hi jin ka maqsad tha
mila na kuchh bhi unhen umr bhar kitabon mein
talash jin ki har ek ilm-dan ko rahti hai
wo durr-e-ilm bhi hain mo'atabar kitabon mein
yahin huin meri hasti ki ibtida-e-safar
ho KHub-tar jo ho KHatm-e-safar kitabon mein
zamane bhar ki KHabar mil gai kitabon se
mili na apni zara bhi KHabar kitabon mein
hui hai jis se meri fikr-e-gauharin 'maghmum
mujhe mili hai wo tab-e-guhar kitabon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.