bhaTak raha hun KHalaon mein gum-shuda ki tarah
bhaTak rahā huuñ ḳhalāoñ meñ gum-shuda kī tarah
sukūt-e-sang ne Thukrā diyā sadā kī tarah
mire vajūd ko pighlā rahī hai barf kī aañch
magar vo chup sī lagī hai mujhe ḳhudā kī tarah
ajiib shahr hai parchhā.iyāñ chamaktī haiñ
har ajnabī mujhe lagtā hai āshnā kī tarah
chalā thā ghar se nikal kar pahāḌ kī jānib
palaT ke aa gayā bastī meñ phir sadā kī tarah
dharī rahegī ye ḳhushbū kī khokhlī zanjīr
har ek rang se uḌ jā.ūñgā havā kī tarah
girī thī os jo kal shab badan ke sahrā meñ
ye baat phail ga.ī shahr meñ vabā kī tarah
hameñ havāoñ kī Thokar bhī raas aa na sakī
paḌe haiñ vaqt ke raste meñ naqsh-e-pā kī tarah
bhaTak raha hun KHalaon mein gum-shuda ki tarah
sukut-e-sang ne Thukra diya sada ki tarah
mere wajud ko pighla rahi hai barf ki aanch
magar wo chup si lagi hai mujhe KHuda ki tarah
ajib shahr hai parchhaiyan chamakti hain
har ajnabi mujhe lagta hai aashna ki tarah
chala tha ghar se nikal kar pahaD ki jaanib
palaT ke aa gaya basti mein phir sada ki tarah
dhari rahegi ye KHushbu ki khokhli zanjir
har ek rang se uD jaunga hawa ki tarah
giri thi os jo kal shab badan ke sahra mein
ye baat phail gai shahr mein waba ki tarah
hamein hawaon ki Thokar bhi ras aa na saki
paDe hain waqt ke raste mein naqsh-e-pa ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.