bhaTak rahi hai nazaron mein har nazar tanha
bhaTak rahī hai nazāroñ meñ har nazar tanhā
paḌā hai jalva-gah-e-dil meñ jalva-gar tanhā
ġham-e-hayāt hī Thahrā thā ġham-gusār-e-hayāt
sharīk-e-rāh rahī gard-e-rahguzar tanhā
sunā.eñ qissa-e-āshob-e-dard-e-tanhā.ī
kabhī jo tum se mulāqāt ho magar tanhā
hazār dīda-varoñ ke charāġh-e-dīda-varī
bujhā ga.ī nigah-e-shaḳhs-e-kam-nazar tanhā
na pursish-e-ġham-e-daurāñ na shirkat-e-ġham-e-dil
milā hujūm-e-bashar meñ bhī har bashar tanhā
ab apne saath hujūm-e-ġham-e-zamāna hai
chale the jab to ġham-e-dil thā ham-safar tanhā
kisī meñ tāqat-e-parvāz ho to dekh sake
kahāñ paḌā hai 'shamīm'-e-shikasta-par tanhā
bhaTak rahi hai nazaron mein har nazar tanha
paDa hai jalwa-gah-e-dil mein jalwa-gar tanha
gham-e-hayat hi Thahra tha gham-gusar-e-hayat
sharik-e-rah rahi gard-e-rahguzar tanha
sunaen qissa-e-ashob-e-dard-e-tanhai
kabhi jo tum se mulaqat ho magar tanha
hazar dida-waron ke charagh-e-dida-wari
bujha gai nigah-e-shaKHs-e-kam-nazar tanha
na pursish-e-gham-e-dauran na shirkat-e-gham-e-dil
mila hujum-e-bashar mein bhi har bashar tanha
ab apne sath hujum-e-gham-e-zamana hai
chale the jab to gham-e-dil tha ham-safar tanha
kisi mein taqat-e-parwaz ho to dekh sake
kahan paDa hai 'shamim'-e-shikasta-par tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.