bhaTakte phirte hain shahr-e-wafa se nikle hue
bhaTakte phirte haiñ shahr-e-vafā se nikle hue
bahut malūl haiñ kū-e-vafā se nikle hue
tilism-e-āb sabāt-e-gulāb aks-e-charāġh
tamām rang haiñ terī qabā se nikle hue
balā.eñ phirtī haiñ ḳhālī makān meñ shāyad
paḌe haiñ duur darīche havā se nikle hue
navā meñ karb vahī dil kī vahshateñ bhī vahī
go ek umr huī hai balā se nikle hue
ab intizār yahī hai ki raakh uḌ jaa.e
jhulas jhulas ga.e sho.ale navā se nikle hue
bhaTakte phirte hain shahr-e-wafa se nikle hue
bahut malul hain ku-e-wafa se nikle hue
tilism-e-ab sabaat-e-gulab aks-e-charagh
tamam rang hain teri qaba se nikle hue
balaen phirti hain KHali makan mein shayad
paDe hain dur dariche hawa se nikle hue
nawa mein karb wahi dil ki wahshaten bhi wahi
go ek umr hui hai bala se nikle hue
ab intizar yahi hai ki rakh uD jae
jhulas jhulas gae shoale nawa se nikle hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.