bhaTki hai ujalon mein nazar sham se pahle
bhaTkī hai ujāloñ meñ nazar shaam se pahle
ye shaam Dhale kā sā asar shaam se pahle
sakte meñ sisakte hue tābūt khuleñge
achchhā hai nikal jaa.e ye Dar shaam se pahle
vo razmiya paḌhte haiñ vo uksāte haiñ mujh ko
jaatī huī kirnoñ ke bhañvar shaam se pahle
maiñ Tiile pe baiThā to sunī shahr kī siskī
dekhe mire āñgan mire ghar shaam se pahle
ai sub.h ke taare kī ziyā os kī ThanDak
ik roz mirī chhat pe utar shaam se pahle
is baar shab-e-chār-dahum kuchh to parakhnā
phir kaaT na denā mire par shaam se pahle
vo qumqume bāzār ke mujh se haiñ shanāsā
us samt bhī jaatā huuñ magar shaam se pahle
maiñ dard ke qasbe meñ bahut der se pahuñchā
bik jaate haiñ sab taaza samar shaam se pahle
bhaTki hai ujalon mein nazar sham se pahle
ye sham Dhale ka sa asar sham se pahle
sakte mein sisakte hue tabut khulenge
achchha hai nikal jae ye Dar sham se pahle
wo razmiya paDhte hain wo uksate hain mujh ko
jati hui kirnon ke bhanwar sham se pahle
main Tile pe baiTha to suni shahr ki siski
dekhe mere aangan mere ghar sham se pahle
ai subh ke tare ki ziya os ki ThanDak
ek roz meri chhat pe utar sham se pahle
is bar shab-e-chaar-dahum kuchh to parakhna
phir kaT na dena mere par sham se pahle
wo qumqume bazar ke mujh se hain shanasa
us samt bhi jata hun magar sham se pahle
main dard ke qasbe mein bahut der se pahuncha
bik jate hain sab taza samar sham se pahle
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 541)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.