bhed teri jafa ka kholega
bhed terī jafā kā kholegā
ham na boleñge zaḳhm bolegā
dil ko mānūs-e-dard hone do
phir to kāñToñ pe bhī ye so legā
ek muddat se be-charāġh hai ghar
dil kā darvāza kaun kholegā
taab kis kis nazar kī lāoge
dil kā har zaḳhm aañkh kholegā
dard minnat-pazīr-e-zarf nahīñ
tū ise kis nazar se tolegā
shabnamīñ sub.h aañkh to khole
ġhuncha ġhuncha gulāb ho legā
aa.ina aa.ina hī hotā hai
jaisā dekhegā vaisā bolegā
sang dete ho dast-e-'shāriq' meñ
apnā sar apne ḳhuuñ se dho legā
bhed teri jafa ka kholega
hum na bolenge zaKHm bolega
dil ko manus-e-dard hone do
phir to kanTon pe bhi ye so lega
ek muddat se be-charagh hai ghar
dil ka darwaza kaun kholega
tab kis kis nazar ki laoge
dil ka har zaKHm aankh kholega
dard minnat-pazir-e-zarf nahin
tu ise kis nazar se tolega
shabnamin subh aankh to khole
ghuncha ghuncha gulab ho lega
aaina aaina hi hota hai
jaisa dekhega waisa bolega
sang dete ho dast-e-'shaariq' mein
apna sar apne KHun se dho lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.