bhes banae ghum raha hai diwana galiyon galiyon
bhes banā.e ghuum rahā hai dīvāna galiyoñ galiyoñ
kaun milegā dekheñ apnā begāna galiyoñ galiyoñ
saḌkoñ par pahra detī āñkhoñ se uljhe kaun bhalā
tum ko aanā ho to ab ke aa jaanā galiyoñ galiyoñ
dekho ik din thak jā.eñge thak ke ruk jā.eñge qadam
vahī sub.h se shaam tumhārā bhaTkānā galiyoñ galiyoñ
dil kī manzil thī ki havas kī gardish thī ma.alūm nahīñ
jaane kaun liye phirtā thā an-jānā galiyoñ galiyoñ
ai 'āzād' yahī niklā sadiyoñ kī masāfat kā hāsil
ek udāsī ke aalam kā chhā jaanā galiyoñ galiyoñ
bhes banae ghum raha hai diwana galiyon galiyon
kaun milega dekhen apna begana galiyon galiyon
saDkon par pahra deti aankhon se uljhe kaun bhala
tum ko aana ho to ab ke aa jaana galiyon galiyon
dekho ek din thak jaenge thak ke ruk jaenge qadam
wahi subh se sham tumhaara bhaTkana galiyon galiyon
dil ki manzil thi ki hawas ki gardish thi malum nahin
jaane kaun liye phirta tha an-jaana galiyon galiyon
ai 'azad' yahi nikla sadiyon ki masafat ka hasil
ek udasi ke aalam ka chha jaana galiyon galiyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.