bhigo gai gul-e-ehsas aaj shabnam phir
bhigo ga.ī gul-e-ehsās aaj shabnam phir
badan ke gird lipaTne lagā hai resham phir
ye kis ḳhayāl ke kundan se saj gayā tan-man
bhare haiñ kāsa-e-hastī meñ kis ne nīlam phir
bahār būñdeñ ghaTā ḳhush-gavār purvā.ī
mire siñgār ke kyā aa ga.e haiñ mausam phir
batā rahī haiñ ye sargoshiyāñ samundar keī
ki ḳhushk ret se dariyā kā hogā sañgam phir
ka.ī charāġh jo ye jal uThe haiñ āñkhoñ meñ
suno judā.ī unheñ kar na paa.e maddham phir
tirī judā.ī ke sadme se yuuñ hue mohtāt
na is ke ba.ad huī phir ye aañkh pur-nam phir
'alīnā' ik dafa ik aag meñ tapā thā badan
tamām umr huī vo na aañch kam kam phir
bhigo gai gul-e-ehsas aaj shabnam phir
badan ke gird lipaTne laga hai resham phir
ye kis KHayal ke kundan se saj gaya tan-man
bhare hain kasa-e-hasti mein kis ne nilam phir
bahaar bunden ghaTa KHush-gawar purwai
mere singar ke kya aa gae hain mausam phir
bata rahi hain ye sargoshiyan samundar kei
ki KHushk ret se dariya ka hoga sangam phir
kai charagh jo ye jal uThe hain aankhon mein
suno judai unhen kar na pae maddham phir
teri judai ke sadme se yun hue mohtat
na is ke baad hui phir ye aankh pur-nam phir
'alina' ek dafa ek aag mein tapa tha badan
tamam umr hui wo na aanch kam kam phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.