bhiD hai logon ki har su aashna koi nahin
bhiiḌ hai logoñ kī har sū āshnā koī nahīñ
maiñ kise āvāz duuñ pahchāntā koī nahīñ
an-ginat patte gire peḌoñ se ashkoñ kī tarah
ab kī rut meñ hādsoñ kī intihā koī nahīñ
mere dil meñ chāñd raushan merī palkoñ par nujūm
maiñ zamīñ par āsmāñ huuñ jāntā koī nahīñ
aap ke naqsh-e-qadam bhī ab nahīñ manzil-numā
lauT jaane kā bhī ab to rāsta koī nahīñ
dushmanoñ ko bhī jo dars-e-dostī detā rahe
is sitamgar daur meñ itnā baḌā koī nahīñ
kis qadar begānagī hai shahr-e-be-ehsās meñ
aadmī se aadmī kā rābta koī nahīñ
be-talab kis ke gale meñ Daal duuñ is haar ko
mujh se merī zindagī bhī māñgtā koī nahīñ
kyā vazāhat maiñ karūñ kyā log hoñge mutma.in
tujh ko merī aañkh se to dekhtā koī nahīñ
raat ke pichhle pahar 'nusrat' kise āvāz duuñ
so rahā hai shahr saarā jāgtā koī nahīñ
bhiD hai logon ki har su aashna koi nahin
main kise aawaz dun pahchanta koi nahin
an-ginat patte gire peDon se ashkon ki tarah
ab ki rut mein hadson ki intiha koi nahin
mere dil mein chand raushan meri palkon par nujum
main zamin par aasman hun jaanta koi nahin
aap ke naqsh-e-qadam bhi ab nahin manzil-numa
lauT jaane ka bhi ab to rasta koi nahin
dushmanon ko bhi jo dars-e-dosti deta rahe
is sitamgar daur mein itna baDa koi nahin
kis qadar beganagi hai shahr-e-be-ehsas mein
aadmi se aadmi ka rabta koi nahin
be-talab kis ke gale mein Dal dun is haar ko
mujh se meri zindagi bhi mangta koi nahin
kya wazahat main karun kya log honge mutmain
tujh ko meri aankh se to dekhta koi nahin
raat ke pichhle pahar 'nusrat' kise aawaz dun
so raha hai shahr sara jagta koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.