bhiD mein rasta banaegi
bhiiḌ meñ rāsta banā.egī
vo mire saath saath jā.egī
maiñ kahīñ dhuul meñ aTā hūñgā
vo mujhe jhaaḌ kar uThā.egī
maiñ kahāñ tak use sañbhālūñgā
vo kahāñ tak mujhe chhupā.egī
tez chalte hue mire hamrāh
vo pasīne meñ bhiig jā.egī
ab jise dekh dekh jiitā huuñ
shakl vo dhyān meñ na aa.egī
maiñ chalā jā.ūñgā galī se kahīñ
umr bhar merī chaap aa.egī
haath rakh kar charāġh par merā
mujh ko 'shāhid' vo āzmā.egī
bhiD mein rasta banaegi
wo mere sath sath jaegi
main kahin dhul mein aTa hunga
wo mujhe jhaD kar uThaegi
main kahan tak use sanbhaalunga
wo kahan tak mujhe chhupaegi
tez chalte hue mere hamrah
wo pasine mein bhig jaegi
ab jise dekh dekh jita hun
shakl wo dhyan mein na aaegi
main chala jaunga gali se kahin
umr bhar meri chap aaegi
hath rakh kar charagh par mera
mujh ko 'shahid' wo aazmaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.