bhiga bhiga sa nasha raat gae
bhīgā bhīgā sā nasha raat ga.e
tujh se māmūr fazā raat ga.e
ik zarā saañs qarīñ kyā chamkī
huī tābinda qabā raat ga.e
chāñd eḌī meñ utar aaya thā
kahkashāñ ḳhāk-ba-pā raat ga.e
ik zarā lams-e-badan khiltā gayā
tan judā saañs judā raat ga.e
pichhlī pahchān bhalā kyā miltī
aur se aur huā raat ga.e
bhiga bhiga sa nasha raat gae
tujh se mamur faza raat gae
ek zara sans qarin kya chamki
hui tabinda qaba raat gae
chand eDi mein utar aaya tha
kahkashan KHak-ba-pa raat gae
ek zara lams-e-badan khilta gaya
tan juda sans juda raat gae
pichhli pahchan bhala kya milti
aur se aur hua raat gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.