bhiga hua hai aanchal aankhon mein bhi nami hai
bhiga hua hai aanchal aankhon mein bhi nami hai
Sabeela Inam Siddiqui
MORE BYSabeela Inam Siddiqui
bhīgā huā hai āñchal āñkhoñ meñ bhī namī hai
phailā huā hai kājal āñkhoñ meñ bhī namī hai
barsegā aaj khul kar bechain-o-muztarib huuñ
chhāyā hai ġham kā bādal āñkhoñ meñ bhī namī hai
kaisī ajiib hālat taarī huī hai dil par
huuñ muntazir musalsal āñkhoñ meñ bhī namī hai
muddat ke baad aayā duniyā-e-dil meñ koī
sahrā huā hai jal-thal āñkhoñ meñ bhī namī hai
ye ḳhud-supurdagī kā hai ik ajiib aalam
ḳhvāboñ kā jaise jañgal āñkhoñ meñ bhī namī hai
mahsūs ho rahā hai ik jaal meñ huuñ kab se
ye ishq hai ki daldal āñkhoñ meñ bhī namī hai
ik harf-e-haq ke badle chaḌhte haiñ kitne suulī
shahr-e-vafā hai maqtal āñkhoñ meñ bhī namī hai
ik din suḳhan kī malika ban jāogī 'sabīla'
phir aaj kyuuñ ho be-kal āñkhoñ meñ bhī namī hai
bhiga hua hai aanchal aankhon mein bhi nami hai
phaila hua hai kajal aankhon mein bhi nami hai
barsega aaj khul kar bechain-o-muztarib hun
chhaya hai gham ka baadal aankhon mein bhi nami hai
kaisi ajib haalat tari hui hai dil par
hun muntazir musalsal aankhon mein bhi nami hai
muddat ke baad aaya duniya-e-dil mein koi
sahra hua hai jal-thal aankhon mein bhi nami hai
ye KHud-supurdagi ka hai ek ajib aalam
KHwabon ka jaise jangal aankhon mein bhi nami hai
mahsus ho raha hai ek jal mein hun kab se
ye ishq hai ki daldal aankhon mein bhi nami hai
ek harf-e-haq ke badle chaDhte hain kitne suli
shahr-e-wafa hai maqtal aankhon mein bhi nami hai
ek din suKHan ki malika ban jaogi 'sabila'
phir aaj kyun ho be-kal aankhon mein bhi nami hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.