bhige mausam se lipaTne ka natija nikla
bhīge mausam se lipaTne kā natīja niklā
apnā armān bhī kāġhaz kā khilaunā niklā
raat ke āḳhirī hisse meñ ye dekhā maiñ ne
tīrgī chiir ke sūraj kā ujālā niklā
chor hiire kā samajhtī rahī duniyā jis ko
us kī muTThī se to tasbīh kā daana niklā
bas meñ jab kar na sakā us ko kisī mantar se
jaan nāgin se chhuḌā kar vo saperā niklā
taaza phūloñ se vo rishtoñ kī mahak aatī nahīñ
baasī phūloñ se jo gul-dān kā rishta niklā
maiñ ne oḌhā thā jise dhuup se bachne ke liye
vo bhī girtī huī dīvār kā saaya niklā
sāmne jis ke thī hiire kī chamak bhī phīkī
us ko parkhā jo kasauTī pe to shīsha niklā
zalzala aane ke āsār batāne ke liye
phaḌphaḌā kar mire kamre se parinda niklā
tere ash.ār kī 'ashraf' hai ajab jādūgarī
shā.irī kā tirī har shaḳhs divāna niklā
bhige mausam se lipaTne ka natija nikla
apna arman bhi kaghaz ka khilauna nikla
raat ke aaKHiri hisse mein ye dekha main ne
tirgi chir ke suraj ka ujala nikla
chor hire ka samajhti rahi duniya jis ko
us ki muTThi se to tasbih ka dana nikla
bas mein jab kar na saka us ko kisi mantar se
jaan nagin se chhuDa kar wo sapera nikla
taza phulon se wo rishton ki mahak aati nahin
basi phulon se jo gul-dan ka rishta nikla
main ne oDha tha jise dhup se bachne ke liye
wo bhi girti hui diwar ka saya nikla
samne jis ke thi hire ki chamak bhi phiki
us ko parkha jo kasauTi pe to shisha nikla
zalzala aane ke aasar batane ke liye
phaDphaDa kar mere kamre se parinda nikla
tere ashaar ki 'ashraf' hai ajab jadugari
shairi ka teri har shaKHs diwana nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.