bhige sher ugalte jiwan bit gaya
bhīge sher ugalte jīvan biit gayā
ThanDī aag meñ jalte jīvan biit gayā
yuuñ to chār-qadam par merī manzil thī
lekin chalte chalte jīvan biit gayā
shaam Dhale us ko nadiyā par aanā thā
sūraj Dhalte Dhalte jīvan biit gayā
ek anokhā sapnā dekhā niiñd uḌī
āñkheñ malte malte jīvan biit gayā
āḳhir kis bahrūp ko apnā ruup kahūñ
'aslam' ruup badalte jīvan biit gayā
bhige sher ugalte jiwan bit gaya
ThanDi aag mein jalte jiwan bit gaya
yun to chaar-qadam par meri manzil thi
lekin chalte chalte jiwan bit gaya
sham Dhale us ko nadiya par aana tha
suraj Dhalte Dhalte jiwan bit gaya
ek anokha sapna dekha nind uDi
aankhen malte malte jiwan bit gaya
aaKHir kis bahrup ko apna rup kahun
'aslam' rup badalte jiwan bit gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.