bhigi bhigi ghaTaen uThin dhimi dhimi phuwaren aain
bhīgī bhīgī ghaTā.eñ uThīñ dhīmī dhīmī phuvāreñ aa.iiñ
rafta rafta tamanna jaagī chupke chupke bahāreñ aa.iiñ
zikr-o-fikr meñ kuchh din jhūle hosh nahīñ ab haiñ vo jhakole
aage rim-jhim rim-jhim būñdeñ aur pīchhe bauchhāreñ aa.iiñ
ālam-e-shauq se un kā qaidī tauq-o-salāsil pahne aayā
kāñpe arsh ke paa.e jab zanjīroñ kī jhankāreñ aa.iiñ
muddat se sailāb bane vo buniyādoñ ko khod rahe the
TūTne par ab dair-e-ḳhudī kī pathrīlī dīvāreñ aa.iiñ
donoñ jahāñ kī saarī pūñjī baar huī hai jin nāqoñ par
mard-e-gadā ke haath meñ kyūñkar un nāqoñ kī mahāreñ aa.iiñ
tere faqīr ko rasta chalte izzat-o-zillat meñ uljhāne
mandir se pūjā.eñ dauḌīñ masjid se phaTkāreñ aa.iiñ
gosh-e-arsh kā bosa lene dahr se uTh kar baarī baarī
kāfir kī fariyādeñ aa.iiñ ġhāzī kī lālkāreñ aa.iiñ
us kī apnī fitrat jiitī mere gunāh pe rahmat barsī
jaise maañ kī chhātī umDī jaise duudh kī dhāreñ aa.iiñ
bhigi bhigi ghaTaen uThin dhimi dhimi phuwaren aain
rafta rafta tamanna jagi chupke chupke bahaaren aain
zikr-o-fikr mein kuchh din jhule hosh nahin ab hain wo jhakole
aage rim-jhim rim-jhim bunden aur pichhe bauchhaaren aain
aalam-e-shauq se un ka qaidi tauq-o-salasil pahne aaya
kanpe arsh ke pae jab zanjiron ki jhankaren aain
muddat se sailab bane wo buniyaadon ko khod rahe the
TuTne par ab dair-e-KHudi ki pathrili diwaren aain
donon jahan ki sari punji bar hui hai jin naqon par
mard-e-gada ke hath mein kyunkar un naqon ki mahaaren aain
tere faqir ko rasta chalte izzat-o-zillat mein uljhane
mandir se pujaen dauDin masjid se phaTkaren aain
gosh-e-arsh ka bosa lene dahr se uTh kar bari bari
kafir ki fariyaaden aain ghazi ki lalkaren aain
us ki apni fitrat jiti mere gunah pe rahmat barsi
jaise man ki chhati umDi jaise dudh ki dhaaren aain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.