bhigi palkon mein hain istiare bahut
bhīgī palkoñ meñ haiñ isti'āre bahut
us ne dekhe haiñ din meñ sitāre bahut
koī chehra mukammal banā hī nahīñ
naqsh paanī se us ne ubhāre bahut
ghar se nikleñ chalo phir samundar chaleñ
achchhe sāthī haiñ apne kināre bahut
jaane kyā khojtī haiñ nigāheñ mirī
yuuñ to bikhre paḌe haiñ nazāre bahut
raushnī kī du'ā aaj puurī huī
āsmānoñ se barse sharāre bahut
bhigi palkon mein hain isti'are bahut
us ne dekhe hain din mein sitare bahut
koi chehra mukammal bana hi nahin
naqsh pani se us ne ubhaare bahut
ghar se niklen chalo phir samundar chalen
achchhe sathi hain apne kinare bahut
jaane kya khojti hain nigahen meri
yun to bikhre paDe hain nazare bahut
raushni ki du'a aaj puri hui
aasmanon se barse sharare bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.