bhigi palkon pe KHwab chhoD gaya
bhīgī palkoñ pe ḳhvāb chhoḌ gayā
ratjagoñ ke azaab chhoḌ gayā
ḳhaar saare sameT kar ik shaḳhs
apne pīchhe gulāb chhoḌ gayā
nashsha-e-vasl ab bhī baaqī hai
jaane kaisī sharāb chhoḌ gayā
DhūñDte phir rahe haiñ ham us ko
jab se ahd-e-shabāb chhoḌ gayā
ahd-e-rañgīñ guzar gayā 'rāshid'
pīchhe fikr-e-hisāb chhoḌ gayā
bhigi palkon pe KHwab chhoD gaya
ratjagon ke azab chhoD gaya
KHar sare sameT kar ek shaKHs
apne pichhe gulab chhoD gaya
nashsha-e-wasl ab bhi baqi hai
jaane kaisi sharab chhoD gaya
DhunDte phir rahe hain hum us ko
jab se ahd-e-shabab chhoD gaya
ahd-e-rangin guzar gaya 'rashid'
pichhe fikr-e-hisab chhoD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.