bhik le kar hi agar dan kiya jaega
bhiik le kar hī agar daan kiyā jā.egā
apnī hī zaat kā nuqsān kiyā jā.egā
aap ne fikr kī bharpūr himāyat kī hai
aap ko sāhib-e-īmān kiyā jā.egā
aap kyuuñ sach ke tahaffuz meñ khaḌe haiñ ab tak
aap ko roz pareshāñ kiyā jā.egā
hijr ke zaḳhm to rusvā hī kareñge mujh ko
aur phir chaak garebān kiyā jā.egā
apnī āñkhoñ meñ basā kar ke tirā aks-e-jamīl
muddatoñ tak tujhe mehmān kiyā jā.egā
is sabab se kabhī nazreñ na milā paa.e to
tujh pe ye soch ke ehsān kiyā jā.egā
kaam mushkil hai bharosa hai magar 'rāhī' ko
us ke insān ko insān kiyā jā.egā
bhik le kar hi agar dan kiya jaega
apni hi zat ka nuqsan kiya jaega
aap ne fikr ki bharpur himayat ki hai
aap ko sahib-e-iman kiya jaega
aap kyun sach ke tahaffuz mein khaDe hain ab tak
aap ko roz pareshan kiya jaega
hijr ke zaKHm to ruswa hi karenge mujh ko
aur phir chaak gareban kiya jaega
apni aankhon mein basa kar ke tera aks-e-jamil
muddaton tak tujhe mehman kiya jaega
is sabab se kabhi nazren na mila pae to
tujh pe ye soch ke ehsan kiya jaega
kaam mushkil hai bharosa hai magar 'rahi' ko
us ke insan ko insan kiya jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.