bhik lene aish ki sab dar-ba-dar jate rahe
bhiik lene aish kī sab dar-ba-dar jaate rahe
mere jaise manchale ḳhushiyoñ ko Thukrāte rahe
kitnī ibrat-nāk thī ahbāb kī vo guftugū
dushmanoñ ke tanz jab hasrat se yaad aate rahe
zindagī kā jā.eza lete rahe ham duur se
zindagī kā sāmnā karne se katrāte rahe
umr bhar saa.il bane phirte rahe ham dar-ba-dar
umr bhar dāman savālī ban ke phailāte rahe
dostoñ ne rafta rafta mujh se āñkheñ pher liiñ
aur patthar mere ghar meñ muddatoñ aate rahe
fikr se nā-āshnā dām-e-rivāyat ke asiir
kitne shā.ir ek afsāne ko dohrāte rahe
jab bhī ghar vāpas hue zaḳhmoñ se ho kar chuur chuur
raah meñ koī na koī āshnā paate rahe
ab to mustaqbil karegā is kā 'āzar' faisla
bhiik ham māñgā kiye yā bhiik ham paate rahe
bhik lene aish ki sab dar-ba-dar jate rahe
mere jaise manchale KHushiyon ko Thukraate rahe
kitni ibrat-nak thi ahbab ki wo guftugu
dushmanon ke tanz jab hasrat se yaad aate rahe
zindagi ka jaeza lete rahe hum dur se
zindagi ka samna karne se katraate rahe
umr bhar sail bane phirte rahe hum dar-ba-dar
umr bhar daman sawali ban ke phailate rahe
doston ne rafta rafta mujh se aankhen pher lin
aur patthar mere ghar mein muddaton aate rahe
fikr se na-ashna dam-e-riwayat ke asir
kitne shair ek afsane ko dohraate rahe
jab bhi ghar wapas hue zaKHmon se ho kar chur chur
rah mein koi na koi aashna pate rahe
ab to mustaqbil karega is ka 'azar' faisla
bhik hum manga kiye ya bhik hum pate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.