bhini bhini KHushbu jaise log kahan hain
bhīnī bhīnī ḳhushbū jaise log kahāñ haiñ
bulleh shaah aur baahū jaise log kahāñ haiñ
har jānib hī tārīkī aur māyūsī hai
jagmag karte jugnū jaise log kahāñ haiñ
ham se aaj ġhazālī āñkheñ ruuTh chukī haiñ
jaane ab vo aahū jaise log kahāñ haiñ
jin kā lahja aaj rivāyat kahlātā hai
nastā'līq se urdu jaise log kahāñ haiñ
vo shīrīnī lafzoñ kā vo sehr kahāñ hai
koh-e-qāf se jaadū jaise log kahāñ haiñ
mastānoñ kī bastī 'āsif' ujaḌ chukī hai
mast qalandar mādho jaise log kahāñ haiñ
bhini bhini KHushbu jaise log kahan hain
bulleh shah aur bahu jaise log kahan hain
har jaanib hi tariki aur mayusi hai
jagmag karte jugnu jaise log kahan hain
hum se aaj ghazali aankhen ruTh chuki hain
jaane ab wo aahu jaise log kahan hain
jin ka lahja aaj riwayat kahlata hai
nasta'liq se urdu jaise log kahan hain
wo shirini lafzon ka wo sehr kahan hai
koh-e-qaf se jadu jaise log kahan hain
mastanon ki basti 'asif' ujaD chuki hai
mast qalandar madho jaise log kahan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.