bhikshu se KHwahishat ka ban mangti rahi
bhikshū se ḳhvāhishāt kā ban māñgtī rahī
kashkol-e-tan meñ 'umr tapan māñgtī rahī
sargoshiyāñ sunī thiiñ dar-o-bām ne yahāñ
ḳhālī thī chārpā.ī badan māñgtī rahī
vo laash apnī chhoḌ ke bhāgā na jaane kyuuñ
us kī barahna laash kafan māñgtī rahī
le kar charāġh raat ko phirtī thī ḳhāmushī
ganjīna-e-hurūf-e-suḳhan māñgtī rahī
dekhā jo is ne ham ko farāġhat se yaañ kabhī
qismat hamārī ranj-o-mehan māñgtī rahī
ghaḌiyāñ Duboīñ kis ne sar-e-shām phir yahāñ
do pal sukūn ke jo thakan māñgtī rahī
kis kā na jaane lams samāyā lihāf meñ
rah rah ke raat mujh se badan māñgtī rahī
ham ne sarāb dekhe hazāroñ sarāb meñ
ik guuna tishnagī thī jo tan māñgtī rahī
ḳhushbū-libās shaḳhs vo guzrā yahāñ se thā
sahrā kī ret mujh se chaman māñgtī rahī
sarmā kī sard tīra-o-tārīk raat ḳhud
rah rah ke dar pe aag phiran māñgtī rahī
ḳhud tīrgī se sahmī huī shab tamām shab
dast-e-du'ā uThā.e kiran māñgtī rahī
pāras manī thī naag ke muñh meñ chhupī huī
nāgin lipaT lipaT ke vo phan māñgtī rahī
duniyā ne ham ko jaur-o-jafā de diye 'ayāz'
is daad ke 'evaz meñ ye fan māñgtī rahī
bhikshu se KHwahishat ka ban mangti rahi
kashkol-e-tan mein 'umr tapan mangti rahi
sargoshiyan suni thin dar-o-baam ne yahan
KHali thi chaarpai badan mangti rahi
wo lash apni chhoD ke bhaga na jaane kyun
us ki barahna lash kafan mangti rahi
le kar charagh raat ko phirti thi KHamushi
ganjina-e-huruf-e-suKHan mangti rahi
dekha jo is ne hum ko faraghat se yan kabhi
qismat hamari ranj-o-mehan mangti rahi
ghaDiyan Duboin kis ne sar-e-sham phir yahan
do pal sukun ke jo thakan mangti rahi
kis ka na jaane lams samaya lihaf mein
rah rah ke raat mujh se badan mangti rahi
hum ne sarab dekhe hazaron sarab mein
ek guna tishnagi thi jo tan mangti rahi
KHushbu-libas shaKHs wo guzra yahan se tha
sahra ki ret mujh se chaman mangti rahi
sarma ki sard tira-o-tarik raat KHud
rah rah ke dar pe aag phiran mangti rahi
KHud tirgi se sahmi hui shab tamam shab
dast-e-du'a uThae kiran mangti rahi
paras mani thi nag ke munh mein chhupi hui
nagin lipaT lipaT ke wo phan mangti rahi
duniya ne hum ko jaur-o-jafa de diye 'ayaz'
is dad ke 'ewaz mein ye fan mangti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.