bhole-pan se ye use mahfil-e-jaanan samjha
bhole-pan se ye use mahfil-e-jānāñ samjhā
hashr kī ḳhuub haqīqat dil-e-nādāñ samjhā
zindagānī ko ḳhayāl-e-shab-e-hijrāñ samjhā
maut aa.ī to use ḳhvāb-e-pareshāñ samjhā
ghar se tan kar nikal aayā ho koī mast-e-shabāb
kaun kambaḳht garebāñ ko garebāñ samjhā
roz aafat hai na.ī roz qayāmat hai na.ī
aaj tak maiñ na mizāj-e-shab-e-hijrāñ samjhā
maiñ gunahgār dam-e-hashr baḌhātā kyoñ haath
abr-e-rahmat ko magar aap kā dāmāñ samjhā
ek muddat huī kahte hue afsāna-e-ġham
aaj tak vo na mirā hāl-e-pareshāñ samjhā
dāman us shoḳh kā samjhā shafaq-e-gulgūñ ko
māh-e-nau ko kisī mah-vash kā garebāñ samjhā
aks us meñ nazar aa.e jo tirī mahfil ke
dil-e-hairāñ ko maiñ ā.īna-e-hairāñ samjhā
maiñ jo rah rah ke sunātā huuñ bayān-e-shab-e-ġham
muskurā kar koī kahtā hai ki haañ haañ samjhā
ḳhauf kuchh ahd-e-tabāhī kā na us ko 'safdar'
apne allāh ko jo apnā nigahbāñ samjhā
bhole-pan se ye use mahfil-e-jaanan samjha
hashr ki KHub haqiqat dil-e-nadan samjha
zindagani ko KHayal-e-shab-e-hijran samjha
maut aai to use KHwab-e-pareshan samjha
ghar se tan kar nikal aaya ho koi mast-e-shabab
kaun kambaKHt gareban ko gareban samjha
roz aafat hai nai roz qayamat hai nai
aaj tak main na mizaj-e-shab-e-hijran samjha
main gunahgar dam-e-hashr baDhata kyon hath
abr-e-rahmat ko magar aap ka daman samjha
ek muddat hui kahte hue afsana-e-gham
aaj tak wo na mera haal-e-pareshan samjha
daman us shoKH ka samjha shafaq-e-gulgun ko
mah-e-nau ko kisi mah-wash ka gareban samjha
aks us mein nazar aae jo teri mahfil ke
dil-e-hairan ko main aaina-e-hairan samjha
main jo rah rah ke sunata hun bayan-e-shab-e-gham
muskura kar koi kahta hai ki han han samjha
KHauf kuchh ahd-e-tabahi ka na us ko 'safdar'
apne allah ko jo apna nigahban samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.