bhugat raha hun KHud apne kiye ka KHamyaza
bhugat rahā huuñ ḳhud apne kiye kā ḳhamyāza
Tapak rahā hai jo āñkhoñ se ye lahū taaza
kisī kī yaad ke saa.e ko ham-safar samjhā
lagā sako to lagā lo junūñ kā andāza
kise majāl ki ab mere dil meñ ghar kar le
hai garche ab bhī khulā apne dil kā darvāza
nigār-e-vaqt ne har-sū kamand Daalī hai
bikhar na jaa.e kahīñ anjuman kā shīrāza
ḳhudā gavāh hai un ko bhī de rahā huuñ duā
jo kaste rahte haiñ 'shākir' pe roz āvāza
bhugat raha hun KHud apne kiye ka KHamyaza
Tapak raha hai jo aankhon se ye lahu taza
kisi ki yaad ke sae ko ham-safar samjha
laga sako to laga lo junun ka andaza
kise majal ki ab mere dil mein ghar kar le
hai garche ab bhi khula apne dil ka darwaza
nigar-e-waqt ne har-su kamand Dali hai
bikhar na jae kahin anjuman ka shiraaza
KHuda gawah hai un ko bhi de raha hun dua
jo kaste rahte hain 'shakir' pe roz aawaza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.