bhula chuka hai zamana mere fasane ko
bhulā chukā hai zamāna mire fasāne ko
maiñ ro rahī huuñ magar ab bhī us zamāne ko
vo mujh se vā'da-e-fardā mirī qasam le kar
hai yaad aa gayā phir se mujhe rulāne ko
yaqīn jaan ki āñkhoñ se ḳhuun bahne lage
maiñ baiTh jā.ūñ agar hāl-e-dil sunāne ko
zamāne-bhar ke dukhoñ ko lagā liyā hai gale
ab ek pal nahīñ miltā hai muskurāne ko
vo giit jis ko mohabbat salām kartī hai
maiñ harf buntī rahī aisā giit gaane ko
vo ik jahāñ ki jise har jahāñ 'azīz rahā
janam janam se maiñ taktī thī us zamāne ko
hamāre haath se tahzīb ke guhar bhī ga.e
hamāre paas hai ab aur kyā bachāne ko
hamāre 'ahd meñ lahjoñ kā ḳhuun hotā hai
ki zaḳhm dete haiñ ham to na.e zamāne ko
tumhīñ ye kahte ho tanhā huuñ maiñ akelī huuñ
tumhāre vāste chhoḌā hai ik zamāne ko
'sabīn' zaat ke ġham se kabhī nahīñ niklī
vo phir bhī jiitī hai duniyā ke ġham uThāne ko
bhula chuka hai zamana mere fasane ko
main ro rahi hun magar ab bhi us zamane ko
wo mujh se wa'da-e-farda meri qasam le kar
hai yaad aa gaya phir se mujhe rulane ko
yaqin jaan ki aankhon se KHun bahne lage
main baiTh jaun agar haal-e-dil sunane ko
zamane-bhar ke dukhon ko laga liya hai gale
ab ek pal nahin milta hai muskurane ko
wo git jis ko mohabbat salam karti hai
main harf bunti rahi aisa git gane ko
wo ek jahan ki jise har jahan 'aziz raha
janam janam se main takti thi us zamane ko
hamare hath se tahzib ke guhar bhi gae
hamare pas hai ab aur kya bachane ko
hamare 'ahd mein lahjon ka KHun hota hai
ki zaKHm dete hain hum to nae zamane ko
tumhin ye kahte ho tanha hun main akeli hun
tumhaare waste chhoDa hai ek zamane ko
'sabin' zat ke gham se kabhi nahin nikli
wo phir bhi jiti hai duniya ke gham uThane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.