bhulana hai bahut mushkil magar phir bhi bhulana hai
bhulānā hai bahut mushkil magar phir bhī bhulānā hai
tirī yādoñ ko dil se ab to har sūrat miTānā hai
bahut rusvā.iyāñ sah leñ dil-e-barbād kī ḳhātir
magar ulfat panap saktī nahīñ aisā zamāna hai
mirā dāman pakaḌ letī haiñ vo ma.asūm sī yādeñ
mire jīvan meñ terī yaad hī vāhid ḳhazāna hai
tū āñkhoñ meñ tū yādoñ meñ tū har dam mere ḳhvāboñ meñ
khule jab aañkh to har sū vahī manzar purānā hai
milā.e ishq jo rab se 'ġhazal' hai ishq vo sachchā
ḳhudā se lau lagā le phir nahīñ kuchh yaad aanā hai
bhulana hai bahut mushkil magar phir bhi bhulana hai
teri yaadon ko dil se ab to har surat miTana hai
bahut ruswaiyan sah len dil-e-barbaad ki KHatir
magar ulfat panap sakti nahin aisa zamana hai
mera daman pakaD leti hain wo masum si yaaden
mere jiwan mein teri yaad hi wahid KHazana hai
tu aankhon mein tu yaadon mein tu har dam mere KHwabon mein
khule jab aankh to har su wahi manzar purana hai
milae ishq jo rab se 'ghazal' hai ishq wo sachcha
KHuda se lau laga le phir nahin kuchh yaad aana hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 416)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.