bhulane ke liye raazi tujhe ye dil nahin hota
bhulāne ke liye raazī tujhe ye dil nahīñ hotā
tabhī to yaad se terī kabhī ġhāfil nahīñ hotā
mohabbat ko abhī tak maiñ ne apnī raaz rakkhā hai
tumhārā zikr yuuñ mujh se saare mahfil nahīñ hotā
tujhe hī DhūñDhtā rahtā maiñ apne aap meñ har-dam
sanam tū mere jīvan meñ agar shāmil nahīñ hotā
daġhā denā hī aadat ban ga.ī ho jis kī ai yaaro
bharose ke kabhī vo aadmī qābil nahīñ hotā
hamesha biij botā hai jo nafrat ke zamāne meñ
use 'santosh' jīvan meñ kabhī hāsil nahīñ hotā
bhulane ke liye raazi tujhe ye dil nahin hota
tabhi to yaad se teri kabhi ghafil nahin hota
mohabbat ko abhi tak main ne apni raaz rakkha hai
tumhaara zikr yun mujh se sare mahfil nahin hota
tujhe hi DhunDhta rahta main apne aap mein har-dam
sanam tu mere jiwan mein agar shamil nahin hota
dagha dena hi aadat ban gai ho jis ki ai yaro
bharose ke kabhi wo aadmi qabil nahin hota
hamesha bij bota hai jo nafrat ke zamane mein
use 'santosh' jiwan mein kabhi hasil nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.