bhuk chehron pe liye chand se pyare bachche
bhuuk chehroñ pe liye chāñd se pyāre bachche
bechte phirte haiñ galiyoñ meñ ġhubāre bachche
in havāoñ se to bārūd kī bū aatī hai
in fazāoñ meñ to mar jā.eñge saare bachche
kyā bharosa hai samundar kā ḳhudā ḳhair kare
sīpiyāñ chunñe ga.e haiñ mire saare bachche
ho gayā charḳh-e-sitamgar kā kaleja ThanDā
mar ga.e pyaas se dariyā ke kināre bachche
ye zarūrī hai na.e kal kī zamānat dī jaa.e
varna saḌkoñ pe nikal ā.eñge saare bachche
bhuk chehron pe liye chand se pyare bachche
bechte phirte hain galiyon mein ghubare bachche
in hawaon se to barud ki bu aati hai
in fazaon mein to mar jaenge sare bachche
kya bharosa hai samundar ka KHuda KHair kare
sipiyan chunne gae hain mere sare bachche
ho gaya charKH-e-sitamgar ka kaleja ThanDa
mar gae pyas se dariya ke kinare bachche
ye zaruri hai nae kal ki zamanat di jae
warna saDkon pe nikal aaenge sare bachche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.