bhuk iflas se tahzibon ke dil bojhal ho jate hain
bhuuk iflās se tahzīboñ ke dil bojhal ho jaate haiñ
khet ujaḌ jaa.eñ to baste āñgan jañgal ho jaate haiñ
vaqt kā taptā sūraj sar par aa kar jab bhī chamaktā hai
dariyā se insāñ aksar kīchaḌ daldal ho jaate haiñ
jis miTTī kī god se mausam peḌ samar chhin jaa.eñ vahāñ
insāñ titlī aur parinde sab pāgal ho jaate haiñ
maiñ ne ġhurbat aur majbūrī dekhī hai maiñ jāntā huuñ
kaise dhuup ke manzar meñ giile āñchal ho jaate haiñ
tum hote ho saath mire jab koh-e-girāñ se mausam meñ
yuuñ lagtā hai bojhal din uḌte bādal ho jaate haiñ
bhuk iflas se tahzibon ke dil bojhal ho jate hain
khet ujaD jaen to baste aangan jangal ho jate hain
waqt ka tapta suraj sar par aa kar jab bhi chamakta hai
dariya se insan aksar kichaD daldal ho jate hain
jis miTTi ki god se mausam peD samar chhin jaen wahan
insan titli aur parinde sab pagal ho jate hain
main ne ghurbat aur majburi dekhi hai main jaanta hun
kaise dhup ke manzar mein gile aanchal ho jate hain
tum hote ho sath mere jab koh-e-giran se mausam mein
yun lagta hai bojhal din uDte baadal ho jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.