bhuk kam kam hai pyas kam kam hai
bhuuk kam kam hai pyaas kam kam hai
ab to jiine kī aas kam kam hai
saañs lete the hijr mausam meñ
ab ye mausam bhī raas kam kam hai
titliyāñ uḌ ga.iiñ ye ġham le kar
ab ke phūloñ meñ baas kam kam hai
dil jo milne kī zid nahīñ kartā
ab ye rahtā udaas kam kam hai
apnī hālat use batā na sakūñ
vo jo chehra-shanās kam kam hai
bhuk kam kam hai pyas kam kam hai
ab to jine ki aas kam kam hai
sans lete the hijr mausam mein
ab ye mausam bhi ras kam kam hai
titliyan uD gain ye gham le kar
ab ke phulon mein bas kam kam hai
dil jo milne ki zid nahin karta
ab ye rahta udas kam kam hai
apni haalat use bata na sakun
wo jo chehra-shanas kam kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.