bhuul chukā jo tujh ko ai dil yaad meñ us kī kyoñ rotā hai
duniyā kā dastūr yahī hai koī kisī kā kab hotā hai
sub.h kī jānib dekh abhī se raat ke ġham meñ kyā rotā hai
duniyā kī to rasm yahī hai paatā vahī hai jo khotā hai
jis ko tama.a na māl-o-zar kī jis ko chaah na la.al-o-gohar kī
pair pasāre ghar meñ apne kitne sukh se vo sotā hai
ye duniyā kab miit kisī kī ye kyā jaane priit kisī kī
nāhaq is ke pher meñ paḌ kar jaan ko apnī tū khotā hai
kyoñ DhūñDe tū mullā panDit kyoñ bhaTke tū mandir masjid
pachhtāve kā terā aañsū pāpoñ ko saare dhotā hai
jis ko 'nazar' ḳhū jaur-o-jafā kī us se na rakh ummīd vafā kī
mūrakh hai jo banjar meñ tū gehūñ ke daane botā hai
bhul chuka jo tujh ko ai dil yaad mein us ki kyon rota hai
duniya ka dastur yahi hai koi kisi ka kab hota hai
subh ki jaanib dekh abhi se raat ke gham mein kya rota hai
duniya ki to rasm yahi hai pata wahi hai jo khota hai
jis ko tama na mal-o-zar ki jis ko chah na lal-o-gohar ki
pair pasare ghar mein apne kitne sukh se wo sota hai
ye duniya kab mit kisi ki ye kya jaane prit kisi ki
nahaq is ke pher mein paD kar jaan ko apni tu khota hai
kyon DhunDe tu mulla panDit kyon bhaTke tu mandir masjid
pachhtawe ka tera aansu papon ko sare dhota hai
jis ko 'nazar' KHu jaur-o-jafa ki us se na rakh ummid wafa ki
murakh hai jo banjar mein tu gehun ke dane bota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.