bhul jaen hum use aisa nazara to nahin
bhuul jaa.eñ ham use aisā nazāra to nahīñ
yaad par aatā rahe ye bhī gavāra to nahīñ
dil dhaḌaktā hai dhaḌaktā hai dhaḌaktā hai mirā
vo tumhārā vo tumhārā vo tumhārā to nahīñ
āj-kal patthar uThā kar sochtā hai har koī
sāmne insān hai lekin hamārā to nahīñ
ḳhvāb kitne shaad haiñ aur raat bhī ābād hai
jaag kar maiñ ne hī ḳhud un ko sañvārā to nahīñ
baat baḌhne ke liye maiñ kis qadar be-tāb hoñ
aur baḌhāne kī taraf terā ishāra to nahīñ
haar jaane meñ mazā hai tum se gar ho sāmnā
jītnā vaise 'alaḳh' ko nāgavārā to nahīñ
bhul jaen hum use aisa nazara to nahin
yaad par aata rahe ye bhi gawara to nahin
dil dhaDakta hai dhaDakta hai dhaDakta hai mera
wo tumhaara wo tumhaara wo tumhaara to nahin
aaj-kal patthar uTha kar sochta hai har koi
samne insan hai lekin hamara to nahin
KHwab kitne shad hain aur raat bhi aabaad hai
jag kar main ne hi KHud un ko sanwara to nahin
baat baDhne ke liye main kis qadar be-tab hon
aur baDhane ki taraf tera ishaara to nahin
haar jaane mein maza hai tum se gar ho samna
jitna waise 'alaKH' ko nagawara to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.