bhul jaane ko hai jahan sara
bhuul jaane ko hai jahāñ saarā
yaad rakhne ko ik ḳhudā hai bahut
hai jo pesh-e-nazar pare us se
manzar ik aur dilrubā hai bahut
gūñjtī āhaTeñ nahīñ thamtīñ
mere andar koī rahā hai bahut
gumrahī se hai apnī nā-vāqif
rāstoñ ko vo jāntā hai bahut
merī dīvāngī jalā.e charāġh
raushnī gum hai aur havā hai bahut
ye azāboñ kā silsila kaisā
zindagī hī to ik sazā hai bahut
bhul jaane ko hai jahan sara
yaad rakhne ko ek KHuda hai bahut
hai jo pesh-e-nazar pare us se
manzar ek aur dilruba hai bahut
gunjti aahaTen nahin thamtin
mere andar koi raha hai bahut
gumrahi se hai apni na-waqif
raston ko wo jaanta hai bahut
meri diwangi jalae charagh
raushni gum hai aur hawa hai bahut
ye azabon ka silsila kaisa
zindagi hi to ek saza hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.