bhul jaunga pyar mazi ka
bhuul jā.ūñgā pyaar maazī kā
thā jo dār-o-madār maazī kā
zehn par hai savār maazī kā
tazkira baar baar maazī kā
be-qarār ab huuñ haal meñ filhāl
ḳhuub hī thā qarār maazī kā
toḌ kar joḌ kar bhī dekhā hai
saḳht hai par hisār maazī kā
mujhe rah rah ke yaad aatā hai
vahī mausam bahār maazī kā
us ke hāthoñ se bikhre to sochā
yaar behtar thā yaar maazī kā
laakh ranjish sahī magar 'kāshif'
us pe hai e'tibār maazī kā
bhul jaunga pyar mazi ka
tha jo dar-o-madar mazi ka
zehn par hai sawar mazi ka
tazkira bar bar mazi ka
be-qarar ab hun haal mein filhaal
KHub hi tha qarar mazi ka
toD kar joD kar bhi dekha hai
saKHt hai par hisar mazi ka
mujhe rah rah ke yaad aata hai
wahi mausam bahaar mazi ka
us ke hathon se bikhre to socha
yar behtar tha yar mazi ka
lakh ranjish sahi magar 'kashif'
us pe hai e'tibar mazi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.