bhul kar bhi idhar nahin aata
bhuul kar bhī idhar nahīñ aatā
vo kabhī raah par nahīñ aatā
kis kā jalva nazar se guzrā hai
ki mujhe kuchh nazar nahīñ aatā
charḳh-e-gardish se thak gayā shab-e-hijr
din nikaltā nazar nahīñ aatā
bah gayā dil to ġham nahīñ ai chashm
kaam meñ kyā jigar nahīñ aatā
huuñ shab-e-vasl is qadar be-ḳhud
bīm-e-marg-e-sahar nahīñ aatā
kis galī meñ chalā huuñ marne ko
shauq meñ kuchh nazar nahīñ aatā
terā kūcha agar bahisht nahīñ
jā ke kyuuñ nāma-bar nahīñ aatā
pher denī chhurī to aatī hai
lutf-e-sayyād agar nahīñ aatā
nau-giraftārī-e-musībat dekh
ham ko naala bhī kar nahīñ aatā
dil ko kyā jaane kyā huā 'sālik'
chain kyuuñ rāt-bhar nahīñ aatā
bhul kar bhi idhar nahin aata
wo kabhi rah par nahin aata
kis ka jalwa nazar se guzra hai
ki mujhe kuchh nazar nahin aata
charKH-e-gardish se thak gaya shab-e-hijr
din nikalta nazar nahin aata
bah gaya dil to gham nahin ai chashm
kaam mein kya jigar nahin aata
hun shab-e-wasl is qadar be-KHud
bim-e-marg-e-sahar nahin aata
kis gali mein chala hun marne ko
shauq mein kuchh nazar nahin aata
tera kucha agar bahisht nahin
ja ke kyun nama-bar nahin aata
pher deni chhuri to aati hai
lutf-e-sayyaad agar nahin aata
nau-giraftari-e-musibat dekh
hum ko nala bhi kar nahin aata
dil ko kya jaane kya hua 'salik'
chain kyun raat-bhar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.