bhul kar tujhko bhara shahr bhi tanha dekhun
Interesting Fact
1970
bhuul kar tujh ko bharā shahr bhī tanhā dekhūñ
yaad aa jaa.e to ḳhud apnā tamāshā dekhūñ
muskurātī huī in āñkhoñ kī shādābī meñ
maiñ tirī ruuh kā taptā huā sahrā dekhūñ
itnī yādeñ haiñ ki jamne nahīñ paatī hai nazar
band āñkhoñ ke darīchoñ se maiñ kyā kyā dekhūñ
vaqt kī dhuul se uThne lage qadmoñ ke nuqūsh
tū jahāñ chhoḌ gayā hai vahī rasta dekhūñ
yuuñ to bāzār meñ chehre haiñ hasīñ ek se ek
koī chehra to haqīqat meñ shanāsā dekhūñ
bhul kar tujh ko bhara shahr bhi tanha dekhun
yaad aa jae to KHud apna tamasha dekhun
muskuraati hui in aankhon ki shadabi mein
main teri ruh ka tapta hua sahra dekhun
itni yaaden hain ki jamne nahin pati hai nazar
band aankhon ke darichon se main kya kya dekhun
waqt ki dhul se uThne lage qadmon ke nuqush
tu jahan chhoD gaya hai wahi rasta dekhun
yun to bazar mein chehre hain hasin ek se ek
koi chehra to haqiqat mein shanasa dekhun
- Book : Harf-e-wafa (Pg. 69)
- Author : Parveen Fana Sayyad
- Publication : Maktaba Funoon, Lahore (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.