bhul mat ki gunjegi ek din sada-e-hu
bhuul mat ki gūñjegī ek din sadā-e-hū
kāġhazī ye duniyā hai aarzī haiñ rang-o-bū
kyā batā.eñ ham tum ko mādarī zabāñ kyā hai
harf-harf meñ rangat lafz-lafz meñ ḳhushbū
rahravān-e-rāh-e-haq baiTh jaa.eñ kone meñ
sāzishī dimāġhoñ kī dhūm-dhām hai har-sū
asr-e-nau ke paikar meñ ḳhud ko Dhālnā hogā
vaqt ke taqāzoñ ko Thiik se samajh le tū
rab hī ab muhāfiz hai terī kaj-kulāhī kā
raah meñ hazāroñ haiñ ek do nahīñ bad-ḳhū
bas zarā sī himmat hī tishnagī bujhā degī
rok mat qadam apne sāmne hai āb-e-jū
jab talak 'shafaq' tere haiñ zamīñ pe shaidā.ī
pesh-goī hai merī mar nahīñ sakegā tū
bhul mat ki gunjegi ek din sada-e-hu
kaghazi ye duniya hai aarzi hain rang-o-bu
kya bataen hum tum ko madari zaban kya hai
harf-harf mein rangat lafz-lafz mein KHushbu
rahrawan-e-rah-e-haq baiTh jaen kone mein
sazishi dimaghon ki dhum-dham hai har-su
asr-e-nau ke paikar mein KHud ko Dhaalna hoga
waqt ke taqazon ko Thik se samajh le tu
rab hi ab muhafiz hai teri kaj-kulahi ka
rah mein hazaron hain ek do nahin bad-KHu
bas zara si himmat hi tishnagi bujha degi
rok mat qadam apne samne hai aab-e-ju
jab talak 'shafaq' tere hain zamin pe shaidai
pesh-goi hai meri mar nahin sakega tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.