bhul sakun main tujhko yara mere bas ki baat nahin
bhuul sakūñ maiñ tujh ko yaarā mere bas kī baat nahīñ
DhūñDūñ ab maiñ duujā davārā mere bas kī baat nahīñ
ab to merā shauq nahīñ hai ab to merī aadat hai
ab is aadat se chhuTkārā mere bas kī baat nahīñ
dil aanā thā aayā tujh par kyoñ aayā maiñ kyoñ jānūñ
dil par merā bas dil-dārā mere bas kī baat nahīñ
chhoḌ ke ye dar tū hī batlā ab maiñ aur kahāñ jā.ūñ
dar-dar bhaTkūñ mārā-mārā mere bas kī baat nahīñ
ye āñkheñ ye raushan manzar tujh bin bas be-ma.anī hai
tujh bin saarā nuur nazāra mere bas kī baat nahīñ
bhul sakun main tujh ko yara mere bas ki baat nahin
DhunDun ab main duja dawara mere bas ki baat nahin
ab to mera shauq nahin hai ab to meri aadat hai
ab is aadat se chhuTkara mere bas ki baat nahin
dil aana tha aaya tujh par kyon aaya main kyon jaanun
dil par mera bas dil-dara mere bas ki baat nahin
chhoD ke ye dar tu hi batla ab main aur kahan jaun
dar-dar bhaTkun mara-mara mere bas ki baat nahin
ye aankhen ye raushan manzar tujh bin bas be-mani hai
tujh bin sara nur nazara mere bas ki baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.