bhula-bhaTka koi parinda aae to
bhūlā-bhaTkā koī parinda aa.e to
kahnā jangal se ki paas biThā.e to
jangal ke ādāb alag haiñ duniyā se
kho hī jaatā hai rasta kho jaa.e to
jis khiḌkī se chāñd dikhā.ī detā hai
kaash vahīñ se duniyā bhī dikh jaa.e to
sone vaalā itnā gahrā soyā hai
sharmā jaa.e maut agar aa jaa.e to
udhar zamāna lauT rahā hai daftar se
idhar hamārā taur ki bas kaT jaa.e to
bhula-bhaTka koi parinda aae to
kahna jangal se ki pas biThae to
jangal ke aadab alag hain duniya se
kho hi jata hai rasta kho jae to
jis khiDki se chand dikhai deta hai
kash wahin se duniya bhi dikh jae to
sone wala itna gahra soya hai
sharma jae maut agar aa jae to
udhar zamana lauT raha hai daftar se
idhar hamara taur ki bas kaT jae to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.