bhula-bisra waqt phir mehman hai
bhūlā-bisrā vaqt phir mehmān hai
phir vahī āñgan vahī dālān hai
ek kamra hai kahīñ jis meñ nihāñ
mere bachpan kā sar-o-sāmān hai
but-kade meñ jo bhī hai patthar kā hai
aur patthar kā ḳhudā insān hai
be-tarah mushkil hai tujh ko dekhnā
sochnā lekin baḌā āsān hai
jal uThā kyūñ-kar mire dil kā charāġh
jab ki sāloñ se ye ghar vīrān hai
kab tujhe bhūlā nahīñ yaad aa rahā
haañ tire hone kā mujh ko dhyān hai
bhula-bisra waqt phir mehman hai
phir wahi aangan wahi dalan hai
ek kamra hai kahin jis mein nihan
mere bachpan ka sar-o-saman hai
but-kade mein jo bhi hai patthar ka hai
aur patthar ka KHuda insan hai
be-tarah mushkil hai tujh ko dekhna
sochna lekin baDa aasan hai
jal uTha kyun-kar mere dil ka charagh
jab ki salon se ye ghar viran hai
kab tujhe bhula nahin yaad aa raha
han tere hone ka mujh ko dhyan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.