bhula nahin wo aalam-e-diwangi mujhe
bhūlā nahīñ vo 'ālam-e-dīvāngī mujhe
aksar jab apne haal pe aa.ī hañsī mujhe
duniyā se kho chukī hai ye vāraftagī mujhe
tum se bhī chhīn le na mirī be-ḳhudī mujhe
le chal ab us maqām pe ai be-ḳhudī mujhe
DhūñDe agar to pā na sake zindagī mujhe
vāraftagī-e-‘ishq yahāñ tak to baḌh ga.ī
ḳhud DhūñDhtī hai ab nigah-e-husn bhī mujhe
ab zahmat-e-nigāh-e-tarahhum bhī kyā zarūr
raas aa ga.ī hai dard-bharī zindagī mujhe
bhula nahin wo 'alam-e-diwangi mujhe
aksar jab apne haal pe aai hansi mujhe
duniya se kho chuki hai ye waraftagi mujhe
tum se bhi chhin le na meri be-KHudi mujhe
le chal ab us maqam pe ai be-KHudi mujhe
DhunDe agar to pa na sake zindagi mujhe
waraftagi-e-‘ishq yahan tak to baDh gai
KHud DhunDhti hai ab nigah-e-husn bhi mujhe
ab zahmat-e-nigah-e-tarahhum bhi kya zarur
ras aa gai hai dard-bhari zindagi mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.