bhule se kabhi le jo koi nam hamara
bhūle se kabhī le jo koī naam hamārā
mar jaa.e ḳhushī se dil-e-nākām hamārā
le jaatī hai us samt hameñ gardish-e-daurāñ
ai dost ḳharābāt se kyā kaam hamārā
kar lete haiñ taḳhlīq koī vaj.h-e-aziyyat
bhātā nahīñ ḳhud ham ko bhī ārām hamārā
ai gardish-e-daurāñ ye koī soch kī rut hai
kam-baḳht abhī daur meñ hai jaam hamārā
is baar to aayā thā idhar qāsid-e-jāñ ḳhud
sarkār ko pahuñchā nahīñ paiġhām hamārā
pahuñchā.ī hai taklīf bahut pahle hī tujh ko
ai rāh-numā haath na ab thaam hamārā
ai qāfila-e-hosh gañvā vaqt na apnā
paḌtā nahīñ kuchh Thiik abhī gaam hamārā
dekhā hai haram terā magar hā.e-re zāhid
mahkā huā vo kūcha-e-asnām hamārā
ġhilmān bhī jannat ke baḌī chiiz haiñ lekin
tauba mirī vo sāqī-e-gulfām hamārā
gul nauha-kunāñ o sanam-e-dast-ba-sīna
allāh ġhanī! lamha-e-anjām hamārā
kar baiThe haiñ ham bhuul ke tauba jo sahar ko
shīshe ko ta.āqub hai sar-e-shām hamārā
mai piinā 'adam' aur qadam chūmnā un ke
hai shaġhl yahī ab sahar-o-shām hamārā
bhule se kabhi le jo koi nam hamara
mar jae KHushi se dil-e-nakaam hamara
le jati hai us samt hamein gardish-e-dauran
ai dost KHarabaat se kya kaam hamara
kar lete hain taKHliq koi wajh-e-aziyyat
bhata nahin KHud hum ko bhi aaram hamara
ai gardish-e-dauran ye koi soch ki rut hai
kam-baKHt abhi daur mein hai jam hamara
is bar to aaya tha idhar qasid-e-jaan KHud
sarkar ko pahuncha nahin paigham hamara
pahunchai hai taklif bahut pahle hi tujh ko
ai rah-numa hath na ab tham hamara
ai qafila-e-hosh ganwa waqt na apna
paDta nahin kuchh Thik abhi gam hamara
dekha hai haram tera magar hae-re zahid
mahka hua wo kucha-e-asnam hamara
ghilman bhi jannat ke baDi chiz hain lekin
tauba meri wo saqi-e-gulfam hamara
gul nauha-kunan o sanam-e-dast-ba-sina
allah ghani! lamha-e-anjam hamara
kar baiThe hain hum bhul ke tauba jo sahar ko
shishe ko taaqub hai sar-e-sham hamara
mai pina 'adam' aur qadam chumna un ke
hai shaghl yahi ab sahar-o-sham hamara
- Book : Kulliyat-e-Adm (Pg. 130)
- Author : Khwaja Mohammad Zakariya
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.