bhuli baaton se bhi ab dil ko lagana kaisa
bhūlī bātoñ se bhī ab dil ko lagānā kaisā
raah jo chhoḌ chuke phir vahāñ jaanā kaisā
aql aur ishq kā bāham ye milānā kaisā
aap pahlū meñ haiñ phir hosh meñ aanā kaisā
tār-e-dāman se ulajhtī rahī uljhan merī
kaisī be-chārgī dāman kā baḌhānā kaisā
parkhe hī jaane kā ehsān liye phirtā huuñ
kaisī maqbūliyat aur dil meñ samānā kaisā
dhuup hāthoñ pe maleñ rañg-e-hinā.ī dekheñ
ḳhvāb hī ḳhvāb haiñ ḳhvāboñ kā Thikāna kaisā
kāñch ke TukḌe hī āñkhoñ kī amānat Thahre
kaisī tā'bīreñ yahāñ ḳhvāb kā aanā kaisā
ghaav ginte meñ hī guzrī hai yahāñ to 'farhat'
kyā ġham-e-dostāñ marham kā lagānā kaisā
bhuli baaton se bhi ab dil ko lagana kaisa
rah jo chhoD chuke phir wahan jaana kaisa
aql aur ishq ka baham ye milana kaisa
aap pahlu mein hain phir hosh mein aana kaisa
tar-e-daman se ulajhti rahi uljhan meri
kaisi be-chaargi daman ka baDhana kaisa
parkhe hi jaane ka ehsan liye phirta hun
kaisi maqbuliyat aur dil mein samana kaisa
dhup hathon pe malen rang-e-hinai dekhen
KHwab hi KHwab hain KHwabon ka Thikana kaisa
kanch ke TukDe hi aankhon ki amanat Thahre
kaisi ta'biren yahan KHwab ka aana kaisa
ghaw ginte mein hi guzri hai yahan to 'farhat'
kya gham-e-dostan marham ka lagana kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.