bhuli-bisri baaten chhoDo ahd-e-gurezan lae kaun
bhūlī-bisrī bāteñ chhoḌo ahd-e-gurezāñ laa.e kaun
ham bhī qātil tum bhī qātil is par ab pachhtā.e kaun
aao baiTho bāteñ kar leñ man kā bojh to halkā ho
ham bhī haare tum bhī haare zaḳhmī dil bahlā.e kaun
ḳhaak hue ḳhāshāk hue jo sho.ala-ba-dāmāñ rahte the
raakh meñ soī chiñgārī ab sho.aloñ sā lahkā.e kaun
na.e nagar meñ aañkh jo kholī raste raste bahke haiñ
apnī Dagar sab bhuul ga.e haiñ rāsta ab batlā.e kaun
aa.e kitne piir payambar kis ne un par kaan dharā
aag kī ik din barkhā hogī is par niir bahā.e kaun
apnī khetī hiire motī man meñ Dher lagā.e haiñ
moh kī maarī duniyā meñ ab dāman ko phailā.e kaun
lah lah karte saa.e meñ sab god meñ khelā karte the
sūkhe peḌ kī lakḌī haiñ ab dekho aag lagā.e kaun
raah meñ baiTheñ haar ke ye to kesh nahīñ dīvānoñ kā
dil se le kar paañv talak haiñ chhāloñ ko sahlā.e kaun
'rizvāñ' kitne saada ho tum apnā hī āzār liye
DhūñD rahe ho chāhne vaale bastī bastī paa.e kaun
bhuli-bisri baaten chhoDo ahd-e-gurezan lae kaun
hum bhi qatil tum bhi qatil is par ab pachhtae kaun
aao baiTho baaten kar len man ka bojh to halka ho
hum bhi haare tum bhi haare zaKHmi dil bahlae kaun
KHak hue KHashak hue jo shoala-ba-daman rahte the
rakh mein soi chingari ab shoalon sa lahkae kaun
nae nagar mein aankh jo kholi raste raste bahke hain
apni Dagar sab bhul gae hain rasta ab batlae kaun
aae kitne pir payambar kis ne un par kan dhara
aag ki ek din barkha hogi is par nir bahae kaun
apni kheti hire moti man mein Dher lagae hain
moh ki mari duniya mein ab daman ko phailae kaun
lah lah karte sae mein sab god mein khela karte the
sukhe peD ki lakDi hain ab dekho aag lagae kaun
rah mein baiThen haar ke ye to kesh nahin diwanon ka
dil se le kar panw talak hain chhaalon ko sahlae kaun
'rizwan' kitne sada ho tum apna hi aazar liye
DhunD rahe ho chahne wale basti basti pae kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.